शुक्रवार, 15 अप्रैल 2016

Adsense Ke Ads Blog Me Kaise Lagate Hai Hindi Me Jane



aaj hum baat karenge adsense ke bare me ki “adsense ke ads blog me kaise lagate hai” mere bahut se dost aksar ye sawal puchte hai. mai un sabke sawalo ke jawab is post me de raha hu. agar koi kami rahe to comment me puch sakte ho. adsense ads dikhane ke paise dene wali sabse badi company hai. agar hum iska sahi istmal kare to kuch log adsense account bhi bana lete hai. or blog me adsense e ads bhi laga lete hai. magar sahi income nahi kar pate. uski wajah hum is post me janenge.

Adsense ke ads blog me kaise lagaye

Adsense google ki banyi company hai. log isse lakho rupee kamate hai. aap bhi kama sakte ho agar aapke andar kuch karne ka hosla, takat or aatam wishwas ho to. iske liye sabse pahle aapko apni website banani padegi jo aap Blogger.com par free bana sakte ho. uske bad blog me 8-10 badhiya post karne ke bad aap Adsense Account  ke liye apply kare. jo ki aap mere btaye tarike se4-5 din me bana sakte ho. magar aapko Adsense ke rules follow karne honge. to chaliye ab bat karte hai adsense ke bare me.

Blog Me Kis Size Ke Ads Laga Kar Jada Paise Kama Sakte Hai

Ye baat shayad aap bhi sochte honge ki jada income karne ke liye blog par kis size ke ads fit rahte hai. hum iske bare me thodi bat karenge. kyuki bahut se blogger iske bare me jante nahi hai, or unhe low income ki pareshani hoti hai. ji ha dosto ye bat galat nahi hai ki ads ki sahi or perfect size nahi choonne se hum kafi paise kamane se dur rah jate hai.

1. Ads links:200/90

 bloging karne walo ke liye ye size bahut hi secret tarika hai. ye bilkul topic ki tarah kaam karta hai. or post me btaye anusar hi topic show karta hai. jaise aapne blogging par post likhi hai to iske ads honge make money ti blogging, create blog, free blog tips. or sabce achi bat 200/90 ka size hone ki wajah se mobile friendly ads hai. jo visitors mobile use karte hai unke liye ye ads blog me lagana better hoga.

2. Banner:600/300

aapne bahut se blog’s par dekha hoga ki unke sidebar me ek banner ads laga hota hai. ye bade size ke ads dikhane ke liye lagaya jata hai. yani adsense ke bahut se ads ke liye bada banner jaruri hita hai. jisme adsene pure ads dikha sake. iske liye 600/300 size sabse behtar hai. aap meri site ke sidebar me bhi is size ka ads dekh sakte hai. blog ke liye ye 3 size ke ads bahut import hai.

3. Responsive

ye sabse better size hai. ise hum blog ki post, widget, sidebar widget, pages kahi bhi laga sakte hai. ye mobile, tablet, desktop ki screen ke anusar size ke ads show karta hai. yani aap ise kahi bhi add karo ye uske size ke hisab se hi show hoga

Adsense Ke Ads Kaise Banate Hai

agar aap abhi blogging starting par hai to mai aapko suggestion karunga ki pahle aap Behtar blog banaye. uske bad Adsense ke rules pad kar Adsense Account banaye. fir apne blog par ads lagaye.
Blog Me Adsense Ke Ads lagane ke liye Hume pahle Adsense par ja kar ads banane honge. ads kis size ke banane hai. wo mai upar bta hi chuka hu. to chaliye pahle ads bana lete hai.

Option 1 – Ads Size

1. Sabse pahle adsense.com par log in kare or home ke bad “My Ads >> New Ads” par click kare.
2. ab ek popup windows khulegi usme aapko ads ka size, type, style select karne hai.
 create ads on adsense
1. ads ka title choone. title aapke blog se related choonna hai.
2. Recoomended par cikck karne par ads ke size show honge. aapko jis size ka ads banana hai wo select kare. aap custome size selct kar ke apne hisab se size selct kar sakte ho. or sabse niche links ads par click karke 200/90 size ka link ads bana sakte hai.
3. adsense team ne pahle se kuch important size diye huye hai aap unme se apni jarurat ka size select kar sakte ho.

Option 2 – Ads Type

upar photo me diye 4 no. par ko follow karke aapko “text & display ads” select karna hai. bahut bar hum sirf image ads hi blog par laga dete hai. jisse blog ki loading speed bhi slow ho jati hai. or kei important text ads humare blog block hone ki wajah se show nahi hote. jisse humari income kam hoti hai. so humesha text/images type ke ads hi use kare.

Option 3 – Ads Style

1. Text & display ads par click karne par ek arrow page khulega usme aapko ads style setting karni hai.
edit ads type
2. inme se jo aapko pasand ho wo style select karo.
3. setting karne par ads kaisa dikhega. yaha aap uska demo dekh sakte hai.
4, apni pasand ka clolor choonne ke liye “copy and edit” par click kare.
5. copy and edit par click karte hi ye sab option enable ho jayenge or aap inhe apni pasand se castomize kar sakte ho.
6. ads banane ke bad “Save and Get Code” par click kare.

Adsense Ke Ads Code Kaha Se Milenge

1. jab aap new ads banate ho to Save and Get Code par click karte hi ek popup windows khulti hai usme aapke banaye ads ka code hota hai. use copy karke aap blog me add kar sakte ho.
2. Adsense par ja kar Home ke right side me My Ads par click kari. yaha aapke sare ads ki list show hoti hai. aapko jis ads ke code chahiye uske niche “Get code” par click karke aap ads ke code prapat kar sakte ho,

Blog Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai

Ab aapne adsense par ads bhi bana liye or uska code bhi aapko mil gaya hai. aapko ye janna hai ki blog me kaha kaha kis kis jagah par ads lagane hai. or kaise lagane hai. blog par adsense ke 5-7 ads allow hai. agar aap isse jada ads lagate ho to ads show nahi honge or aapka adsense account block bhi ho sakta hai. to hume ab blog par 5 ads lagane hai. 

1. Ads in Post

blog post me aap 3-4 ads laga sakte ho. jada ads lagane se loading speed kam hoti hai. so aap post me 3 ads hi use kare. bahut si templates jo adsense friendly hoti hai. unme post me ads lagane ki alag se widget hoti hai. agar aapke blog ki template adsense ready nahi hai to aap post me direct ads code add kare. uske liye aap post ke edit option me ja katr compose/html me se html par click kar jaha aapko ads dikhana hai waha ads code paste kare
post me aap “Responsive or Links Ads” add hi use kare

2. Ads in Sidebar

sidebar me aapko 600/300 size ka ads lagana hai. aap chahe to sidebar me 2 ads use kar sakte ho.

3. Ads in Widget

1. blogger.com par log in kare or jis blog me ads lagane hai uske dashboard me jaye.
2. ab jaha ads lagana hai waha “Add a Widget” par click kare.
3. “HTML/Javasript” par click kare or box me ads ke code paste karke save par click kare.
Note:- ads color blog ki template se related use Nahi kare. kyuki isse visitors ads ko post ka hi hissa samajh kar ads par click kar dete hai jo adsense policy ka ullaghan hoga.

I hope aapne blog me Adsense ke ads lagana sikh liya hoga or ab aap aasani se apne blog par Adsense ke ads laga sakte ho. Agar aapko mera article acha lage to hume facebooktwittergoogleyoutube par follow jarur kare. or sath hi ise social media par share karke humari help jarur kare.
Disqus Comments