शनिवार, 16 अप्रैल 2016

Wordpress to make money

WordPress ek paid blog platform hai. jis par aap hosting le kae blog bana sakte ho. or online paise kama sakte ho. blog se paise kamane ke liye aapko apne blog me kisi advertising site ke ads lagane honge. jin ads par click karne se aapki income hogi. is post me mai aapko bta raha hu ki wordpress blog par ads kaise lagate hai.

Sir apni ek post me yeh bata dijiye ki WordPress par adsense ke ads kaise lagate hai. Aur kiya free plan WordPress pe bhi hum AdSense ads laga sakte hai ya phir premium plan kharidna hi padega.” ye sawal dec 29, 2015 ko mujhse Jitu ne kiya tha. isliye mai ye post share kar raha hu jisse jitu ke sath sath or bhi friends ko help milegi. or unki ye problem solve ho jayegi ki wordpress par ads lagane ke liye kya karna chahiye. post me direct code paste kare ya fir plugins use kare.

  • Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare
  • Blogpost Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai

WordPress Par Blog Kaise Banaye?

WordPress par blog banane ke liye aapko hostgator, bluehost, godaddy jaisi kisi site se hosting leni padegi. jiska charge lagbhag 300-400 per month hota hai. ye aapke plan par depend karta hai. aap jaisa plan loge utna payment karna padega. or agar aap wordpress par free blog banana chahate ho ya fir aap hosting par wordpress blog banana chahate ho  to ye post pade.

  • WordPress Par Free Blog Kaise Banaye in Hindi
  • Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare

WordPress Blog Paise Kaise Kamaye?

Blog chahe wordpress par ho ya google ke free platform blogspot par paise kamane ke tarike dono me same hote hai. aaj lakho success blogger monthly 20 lakh se jyada paise kama rahe hai. wo blogger blog se paise kamane ke jo tarike istemal karte hai. mai unke bare me aapko list se bta raha hu.
  1. Affiliate marketing
  2. Advertising sites (Adsense, chitika, bidvertiser and other)
  3. infolinks
inme se hindi blogger ke liye advertising sites ka 2 tarika sabse best hai. kyuki affiliate marketing se kamane ke liye blog par high traffic hona jaruri hai. or abhi hum new blogger hai.
  • Top 7 Affiliate Marketing Program In India
  • Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye

WordPress Blog Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai?

WordPress par ads lagane ke liye plugin hote hai. ya fir aap direct post me Visual/Text options me se text option par click karke kahi bhi ads code paste kar sakte ho. mai aapko dono ke bare me details se bta raha hu. ummid hai aapko meri bhasha samajh aayegi.

1) Ads Plugin

wordpress par ads lagane ke liye aapko wordpress.org bahut sare plugin mil jayenge. jinke throw aap post, sidebar, footer, banner par ads laga sakte ho. plugins ka sabse bada fayda ye hai ki aapko bar bar new post ke liye ads code paste nahi karna padega. aapko bas ek bar plugin boxes me ads code paste karna hai. uske bad aapki sabhi or new post me plugin automaticaly ads show karega.
Google AdSense, Ad Injection, WordPress Ad Widget jaise bahut sare plugin hai jinke throw aap wordpress blog par ads laga sakte ho. in my case mai Ad Injection plugin use karta hu. by the way ab aapko ads plugin ka to pta chal hi gaya hoga. so ab aap google me ads plugin search kar sakte ho ya fir ads lagane ke sabhi plugins dekhne ke liye yaha click kare. plugin se blog me ads kiase lagate hai, aane wale time me iske bare me bhi bat karenge.

2) Direct Code Paste

Starting me hi kahuna chahunga ki ye bahut boring hai. har bar new post me ads code paste karna padta hai. but agar aap wordpress ka free plan use karte ho or plugin use nahi kar sakte to aap ye tarika use kar sakte ho. iske liye aap post likhte time Text section par click karke aapko jaha bhi ad dikhana ho waha code paste kar sakte ho. blogspot blogger yahi tarika use kartye hai kyuki 6 month se pahle blog ko adsense se connect nahi kar sakte. jab mai blogger use karta tha to maine bhi yahi tarika istemal kiya tha. aap bhi kar sakte ho.
Actually ab aapko ye to clearly pata chal hi gaya hoga ki ads par ads kaise lagate hai or konsa tarika better hai. so iske bare me or jyada bat kar ke mai aapko bor nahi karunga. to chaliye aapko kuch or bate bta deta hu.
Aap post me sirf 3 text/display ads hi use kar sakte ho. isse jyada karoge to adsense ban ho jayega. ha aap 3 ads ke alawa 3 links ads bhi use kar sakte ho. exaply aap meri post me 3 text and display ands or 2 links ad dekh sakte ho.


Plugins me jyadatar post me ads show karne ke hi options rahte hai. ayse me aap blog ke sidebar me widget add karke direct ad code paste kar sakte ho. sidebar me 250×300 or 300×600 ye 2 ads size sabse behtar hai. so aap bhi sidebar me isi size ke ad lagane ke bare me soch sakte ho.

I hope aapko ye post pasand aayi hogi. agar aapko is post se help milti hai to plz is post ko faceboo, twitter, google plus kisi par bhi share jarur kare. sirf 30 second ka time lagega ignore mat karna. jisse mai aage bhi aapki help karta rahu. or mujhe bhi blogging karne ki power mile. ye bat sach hai ki mai aapki help apni khushi ke liye karta hu. but jab humari site par jyada traffic aata hai to lagta hai ki meri mehanat kam kar rahi hai or mai sachmuch aap logo ki hel kar raha hu.
  • Computer Vs Laptop Kounsa Behtar Hai, 10 Bato Se Samajhe
  • Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Jis tarah aap mujhse ummid rakhte hai. bilkul wese hi mujhe bhi aap se ummid rahti hai ki aap meri post ko pad kar ek bar share jarur kare. kyuki mera manna hai ki agar aapko kahi se help milti hai to uske badle aap bhi kisi ki help karo. taki ek din ye help ka jal itna bada ho jaye ki humare india me koi khali na rahe or sabke pas koi na koi kam ho.
Disqus Comments